Sad Poetry is very popular in Pakistan
If you are looking for very sad poetry then you have come to the right place Because in this post I have posted a lot of Sad Poetry In Urdu 2 Lines with Images And there are good and bad days in every people life so that’s why Sad Poetry is a great way to share your sadnees and Sorrow with people and friends.
In this post, I have posted all the famous poets Around the world Sad Poetry In Urdu of Pakistan.In Pakistan, Wasi Shah, Ahmed Faraz and Juan Elia Kalili ur rehaman qammar Sad Poetry In Urdu is very popular.So in this post I have posted all these poets sadc poetry in Urdu 2 lines with images.
Today i am very excited to post sad poetry – love poetry in urdu 2 lines
Sadness is a part of human life and sad poetry is the way to express feelings of Depression and down time of life. Sad Poems, Sad Ghazals, Shayari, and Sad Poetry in Urdu have a history of over 300 years.
What is Sad Poetry?
In view of experts, Sad Poetry is the expression of your sorrows and grievances that every human being experiences in their daily life. The best thing to express your true sad feelings is to listen, recite, or share sad poetry. Almost every poet has narrated a specific collection of sad poetries that you can associate with when you feel depressed.
Read the latest and largest collection of Urdu Love Poetry, Sad poetry , Romantic Poetry love Quotes, and love Poem of famous Poets. Poetry is one of the most universal vehicles of human expression and Romantic Poetry in Urdu focuses on imagination, appreciation of nature, emotions, individualism and passion.
Dekha palt k us ne k hasrat usay bhi thi,
Hum jis par mit gaye thy muhabt usay bhi thi,
Chup ho gaya tha dekh kr wo bhi idher udher,
Duniya se meri tarha shikayat usay b thi,
Ye soch kr andheray galay se laga liye,
Raton ko jaagnay ki adat usay b thi,
Wo ro dia tha mujko pareshan dekh kr,
Us din halan k meri zarorat usay b thi,
Un patharon k sath nibhani pari usay,
Jin se faqat muje nhi nafrat usay bhi thi..!
Wo Aksar Fursat Main Ek Kam Karte hain
Bana K Aaina Humain Salam Karte Hain
UsKi Masoom adayn Usay ruswa na Kr dain
Wo Likh K Darakhton Pe mera nam aam Karte Hain
Us K Mathay Se Ubharta Hai Subah Ka Noor
Aur Andhere UsKi Zulfon Main Aaram Karte Hain
AanKhon Se Wardatain Karna Hai Paisha UnKa
Dilon Ki Choriaan Wo Sar é Aam Karte hain
Zamana Tera Hi TalabGaar Sahi
Sagar
Kuch Husan Waale Humara Bhi Ehtram Karte Hain
Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milega
ghar chhod ke mat jaao kahin ghar na milega
Phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam
jab dhoop me saaya koi sar par na milega
Aansoo ko kabhi oss ka qatra na samajhna
aisa tumhe chaahat ka samundar na milega
Iss khwaab ke mahaul mein be khwaab hain aankhen
bazaar mein aisa koi zewar na milega
Ye soch lo ab aakhiri saaya hai mohabbat
iss dar se uthoge toh koi dar na milega
Aik Chand Tanha Khara Raha, Mere Aasman Se Zara Parey
Mere Saath Saath Safar Me Tha, Meri Manzilon Se Zara Parey
Teri Justuju Ke Hassar Se, Tere Khuwab Tere Khayal Se
Mein Wo Shakhs Hun Jo Khara Raha, Teri Chahaton Se Zara Parey
Kabhi Dil Ki Baat Kehi Na Thi, Jo Kehi To Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Poore To The Magar, Teri Sama’ton Se Zara Parey
Tu Chala Gaya Mere Hamsafar, Zara Dekh Murr Ke Tu Ik Nazar
Meri Kashtiyan Hai Jali Hui, Tere Sahiloon Se Zara Parey
Bheegi hui aankhon ka ye manzar na milega
ghar chhod ke mat jaao kahin ghar na milega
Phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam
jab dhoop me saaya koi sar par na milega
Aansoo ko kabhi oss ka qatra na samajhna
aisa tumhe chaahat ka samundar na milega
Iss khwaab ke mahaul mein be khwaab hain aankhen
bazaar mein aisa koi zewar na milega
Ye soch lo ab aakhiri saaya hai mohabbat
iss dar se uthoge toh koi dar na milega
Ghum-e-hijr se na dil ko kabhi hum-kinaar karna
main phir aaunga palat kar mera intezaar karna
Mujhe dar hai mere aansoo teri aankh se na jhalken
zara soch kar samajh kar mujhe sogwaar karna
Usey dhoond sab se pehle jo mila nahin hai tujh ko
ye sitare aasmaan ke kabhi phir shumar karna
Mere shehar ki fiza mein koi zehar bhar gaya hai
tere husn par hai laazim usey khushgawar karna
Main uthaunga na ehsaan tere baad na-khuda ka
mujhe tu ne hi duboya mujhe tu hi paar karna
Mere badnaseb saathi teri zindagi hi kya hai
na kisi se dil lagana na kisi se pyar karna
Kabhi iqtidar bakhshe jo khuda qatel tujh ko
jo rawish hai qatilon ki woh na ikhtiyaar karna

Bahut hi muddat ke baad kal jab..
kitaab-e maazi ko maine khola…
Bahut se chehre nazar mein utare..
bahut se naamon pe dil paseeja…
Ek aisa safha bhi uss mein aaya..
likha hua tha jo aansuon se…
Ki jiska unwan “humsafar” tha..
jo safha sab se hi motabar tha…
Kuchh aur aansu phir uss pe tapke..
phir uss se aage main padh na paya…
Kitaab-e maazi ko bandh kar ke..
uski baaton mein kho gaya main…
Agar woh milta toh kaisa hota..?
inhi khyaalon mein so gaya main …!
Hum pe guzre the ranj saare jo khud pe guzre toh log samjhe,
jab apni apni mohabbaton ke azaab jhele toh log samjhe.
Woh jin darakhton ki chhaon mein se musaafiron ko utha diya tha,
unhi darakhton se agle mausam jo phal na utre toh log samjhe
Uss ek kachchi si umar waali ke falsafe ko koi na samjha
jab uss ke kamre se laash nikli khatoot nikle toh log samjhe
Woh gaaon ka ek zaeef deh’kaan sadak ke baNne pe kyon khafa tha,
jab uss ke bachche jo shehar ja kar kabhi na laute toh log samjhe. !
Woh kuch gehri soch mein aise Doob gaya hai,
baithe baithe nadii kinare doob gaya hai.
Aaj ki Raat na jaane kitni lambi ho gi,
Aj ka soraj sham se pehle doob gaya hai,
Woh jo pyasa lagta tha sailaab-zada tha,
Paani paani kehte kehte doob gaya hai,
Mere apne andar ek bhanwar tha jis mein,
Mera sab kuch saath hi mere doob gaya hai,
Shor toh yun utha tha jaise ek tofaan ho,
Sanate mein jane kaise doob gaya hai,
Aakhiri khwahish poori kar ke jena kaisa,
Aanis bhi sahil tak aa ke doob gaya hai,,
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi,
Gaye dinon mein bohat ba kamal thay hum bhi,
Hamari khoj mein rehti thein titlyan aksar,
K apny shehr ka husn-o-jamal thay hum bhi,
Zameen ki goad maein sir rakh k so gaye akhir,
Tumhary hijr mein kitny nidhal thay hum bhi,
Hum aks aks bikharty rahy isi dhun mein,
K zindagi mein kbhi laazwal thy hm b,
Kisi ki yad ne hm ko nikma kr diya
Warna insan to be misal they hum bhi. . !
Gud MorNiNg
Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi
Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi
Phir rafta rafta tumse Mohhabbat si ho gayi
Shayed yeh taaza si judai ka tha assar
har shakal bus kuch teri surat si ho gayi
Ek naam jhilmilane laga dil ke taaq per
Ek Yaad jaise Baais-e-Raahat si ho gayi
Khud ko sajaa sanwar ke rakhne ka shok tha
Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi
Meine kuch beyaan safaayi mein nahin diya
Bus chup raha to khud hi wazahat si ho ga
Hosla chor gaya tha sath nibhane wala
Jane kis simat gaya aj wo jane wala
Aj phr ankh me aay hazaron anso
Aj phr yad wo aya hy bhulane wala
Ab kahen ja k mere zakhm bhare hain
Dekho Ab kahen lout k a jaye na jane wala
Ay, Khuda
Us ka har khuwab salamt rakhna
Ghum na dekhe wo mere khuwab jalane wala
Ab kahen raah mein mil jaye to itna kehna
SHAJAR
Mar gaya kab ka tere naz uthane wala
Apni Khushian Luta Kar Us Pe Qurban Ho Jaon
Kash Kuch Din Us K Shehar Main Mehman Ho Jaon
Wo Apna Nayab DIL Mujh Ko De De Or Phir Mange
Main Mukar Jaon Or Be-Imaan Ho Jaon
Wo Mujh Pe Sitam Kare Har Kisi Ki Tarha
Main Is Ada Par Bhi Meharban Ho Jaon
Wo Mere Paon K Neeche Se Zameen Khainch Le
Or Phir Main Us Ka Aasman Ho Jaon,
Ab To Mujhe Itni Muhabat Ho Gai Hai Us Se K
Khuda Koi Mojiza kary k ma us ki jan ho ja0n
Kisi Ki Qurbaton Mein Bhula Diya Ho Ga
Naqash Mera Uss Ne Mita Diya Ho ga
Jo Mere Sath, Meri Yad Se Wabasta Tha
Uss Ne Har Woh Lamha Jala Diya Ho Ga
Sard Shamon Ki Bichari Hoyi khushbo Ne
Us Ki Tanhyion Ko Mehka Diya Ho ga
Berukhi k Samander Mein Uss Ne Akhir
Mera Har ik Khawab Baha Diya Ho ga
Zard Musam Ki Udaas Ahaton ne Usay
Yonhi Chup Chaap Baithe Rula Diya Ho Ga