Sad Poetry Urdu | Sad Poetry sms 2 Lines | Death Poetry
Kamal e zabt ko khud bhi to azamaun gi
Main apane hath se us ki dulhan sajaun gi
Supurd kar ke use chandani ke hathon
Main
Apane ghar ke andheron ko laut aun gi
Badan ke karb ko wo bhi samajh na paye ga
Main dil may roun gi ankhon may muskuraun gi
Wo kya gaya ke rafaqt ke sare lutf gaye
Main kis se ruth sakungi kise manaun gi
Wo ik rishta e benam bhi nahi lekin
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaun gi
Bicha diya tha gulabon ke sath apna wajud
Wo so ke uthe to khwabon ki rakh uthaun gi
Ab us ka fan to kisi aur se manasub hua
Main kis ki nazm akele may gungunaun gi
Jawaz dhundh raha tha me muhabat ka
Wo kh rahi th i ke main us ko bhul jaun gi
Sanaton may ghane jangalon ki sansen hain
Main ab kabhi teri awaz sun na paun gi
Dekha palt k us ne k hasrat usay bhi thi,
Hum jis par mit gaye thy muhabt usay bhi thi,
Chup ho gaya tha dekh kr wo bhi idher udher,
Duniya se meri tarha shikayat usay b thi,
Ye soch kr andheray galay se laga liye,
Raton ko jaagnay ki adat usay b thi,
Wo ro dia tha mujko pareshan dekh kr,
Us din halan k meri zarorat usay b thi,
Un patharon k sath nibhani pari usay,
Jin se faqat muje nhi nafrat usay bhi thi..!
Read the latest and largest collection of Urdu Love Poetry, Sad poetry , Romantic Poetry love Quotes,
Wo Aksar Fursat Main Ek Kam Karte hain
Bana K Aaina Humain Salam Karte Hain
UsKi Masoom adayn Usay ruswa na Kr dain
Wo Likh K Darakhton Pe mera nam aam Karte Hain
Us K Mathay Se Ubharta Hai Subah Ka Noor
Aur Andhere UsKi Zulfon Main Aaram Karte Hain
AanKhon Se Wardatain Karna Hai Paisha UnKa
Dilon Ki Choriaan Wo Sar é Aam Karte hain
Zamana Tera Hi TalabGaar Sahi
Sagar
Kuch Husan Waale Humara Bhi Ehtram Karte Hain
Ussy kehna
Mohabat hum Se karni hai
To Phir wada nahi karna
Ye wady hum Ne deky hai
K Aksar toot Jaty hain
Mohabat hum Se karni hai
To Phir zid Bi nahi karni
Ye zid bi hum ne deki hai
K sathi Chot Jaty hain
Mohabat hum Se karni Hai
To phir Tohfa nahi dena
Ye Tohfy hum ne deky hain
Bahut majbor karty hain
Mohabat hum Se karni hai
To phir shikwa nahi Karna
Ye shikwy hum Ne deky Hain
Dilon Ko dor karty hain
Myar girta na Doston Ka na
Hm dushman Ki dhal hoty
Zaef Dushman Pe War Kerty To
Waqt Ke Hum Dajal hotay
Nahin Tha apna Mizaj Aisa
ke
Zarf Kho Ker Ana Bachaty
Wagrna Aisay Jawab dety
Ke
Phir Na Paida Sawal hoty
Humari Fitrat Ko Janta Hai
Tabhi
To Dushman Yeh Keh Raha Hai
Hai Dushmani Mein Bhi zarf Aisa
Jo Dost Hotay Kamal hoty
Jo Aa Ke Tum Hal Poch lety
To
Itni Lambi Na Umar lagti
Ke Wasal Ki Ik Ghari Mn Saray
Guzary Mah o Sal Hoty
Usay Mubarak Muqam oncha
Sahi Haqiqat Hamen Pata Hy
Bantay Rishton Ki Hm Bhi Serhi
To Aasman Ki Misal hoty
Read the latest and largest collection of Urdu Love Poetry, Sad poetry , Romantic Poetry love Quotes
Safar tanha nahi karty
Suno Aisa nahi karty
Jisay Shafaf rakhna ho
Usy Mela nahi kartay
Safar jis ka muqadar hai
Usay roka nahi karty
Ye onchy paird Tary kesay hain
Kahin saya nahi karty
Boht ujray huy gher per
Boht socha nahi karty
Kabhi hansanay say dartay nahi
kabhi roya nahi karty
Chalo tum raz ho apna
Tumhain Afshan nahi karty
Sahar say poch lo Mohabat
K hum soya nahi karty
Tumhen jab kabhi milain fursatain mere dil se bhoj utaar do
Main bohat dinon se udas hoon mujhe koi sham udhaar do
Mujhe apne roop ki dhoop do ke chamak sakain mere haal-o-hadh
Mujhe apne rang main rang do mere sare zung utar do
Kisi aur ko mere haal se na gharz hai koi na waasta
Main bikhr gya hoon samait lo
main bigarr geya hoon sanwaar do
Meri wehshton ko barrhaa diya hai judayion ke azab ne
Mere dil pe haath rakho zara meri dharrknon ko qarar do
Tumhe subah kaisi lagi kaho mere khawahshon ke dayaar ki
Jo bhali lagi to yahin raho, isse chahton se nikhaar do
Wahan ghar main kon ha muntazir ke ho fikar dair sawair ki
Barri mukhtsar si yeh raat hai isse chandni main guzaar do
Koi baat krni ha chand se kisi shakhsaar ki oatt mein
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj–gul main utar do
Main bhool jaon tumhen
ab yehi munasib hai
magar bhulana bhi chahoon
to kis tarah bhoolo
ke tum to phir bhi haqeeqat ho
koi khawb nahin
yahan to dil ka yeh alam hai kya kahoon
kambakht
bhula na paya woh silsila
jo tha hi nahin
woh ik khayal
jo awaz tak geya hi nahin
woh ek baat
jo main keh nahin saka tum se
woh ek rabt
jo hum main kabhi raha hi nahin
mujhe hai yaad woh sab
jo kabhi hua hi nahin
Kitne aish se rehte hon ge kitne itraate hon ge
Jaane kese log woh hon ge jo us ko bhaate hon ge
Shaam huye khush-bash yahan ke mere paas aa jate hain
Mere bujhne ka nazaara karne aa jate hon ge
Woh jo na aanay wala hai na us se mujh ko matlab tha
Aanay walon se kya matlab aatay hain aatay hon ge
Us ki yaad ki baad-e-sabaa main aur to kya hota hoga
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate hon ge
Yaaro kuch to zikr karo us ki qayamat banhon ka
Woh jo simat-te hon ge un main woh to mar jaate hon ge
Mere saans ukharrte hi sab bain karen ge royen ge
Yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate hon ge..
Meri tashnagi ka khayal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Meri bebasi pe malaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Yeh jo hijr hijr hai sham-e-gham Meri ankh bhi to hai dekh num
Meri hasraton ko visaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Main tere khayal ke dasht Main sabhi raston se guzar geya
Meri saans ab to bahaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Mera zard chehra hai kis liye Yeh makaan ujrra hai kis liye
Mera haal pooch, sawal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Ae naye dinon ki udaas rut Tu mere wajood main aa ke ruk
Meri shidaton ko bahaal kar Main udaas hoon mujhe dekh ja
Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala
Kya Basaye Ga Mujhe Khud Hi Ujarne Wala
Kya Tamasha Hai K Me Us Pe Bigar Betha Hun
Wo Jo Mash-Hoor Hai Logon Me Bigarne Wala
Zinda Rehne Ka Sabab Kya Hai Ye Dil Se Puch
Juzz Tere Or Nahi Koi Dharakne Wala
Naao Doobi Meri Karte Hue Deedar Tera
Or Tera Naam Hi Leta Tha Ubharne Wala
Teri Waja Se Hi Larta Hun Zamany Bhar Se
Me Hun Mash-Hoor Zamany Me Jhagarne Wala
Kesi Ankhein Hain Wo Zalim Ki Samandar Jesi
Kitna Roshan Tera Chehra Hai Chamakne Wala
Tumhe Maloom Hai Kon Likhe Ga Ye Ghazal
Tumhare Ishq Me Bar-Waqt Tarapne Wala